Baat se baat ki gehraai chali
jaati hai
jhooth aa jaaye toh sachchaai chali jaati hai.
Raat bhar jaagte rahne ka
amal theek nahin
chaand ke ishq mein binaai chali jaati hai.
Maine is shehar ko dekha bhi
nahin jee bhar ke
aur tabiyat hai ki ghabraai chali jaati hai.
Kuchh dinon ke liye manzar se
agar hat jaao
zindagi bhar ki shanasaai chali jaati hai.
Pyaar ke geet hawaaon mein
sune jaate hain
daF bajaati hui ruswaai chali jaati hai.
Chhap se girti hai koi cheez
ruke paani mein
door tak phaTti hui kaai chali jaati hai.
Mast karti hai mujhe apne
lahoo ki khushboo
zakhm sab khol ke purvaai chali jaati hai.
Dar-o deewaar pe chehre se
ubhar aate hain
jism banti hui tanhaai chali jaati hai. !! |
बात से बात की गहराई चली जाती है
झूठ आ जाए तो सच्चाई चली जाती है।
रात भर जागते रहने का अमल ठीक नहीं
चाँद के इश्क़ में बीनाई चली जाती है।
मैंने इस शहर को देखा भी नहीं जी भर के
और तबीयत है कि घबराई चली जाती है।
कुछ दिनों के लिए मंज़र से अगर हट जाओ
ज़िंदगी भर की शनासाई चली जाती है।
प्यार के गीत हवाओं में सुने जाते हैं
दफ़ बजाती हुई रूस्वाई चली जाती है।
छप से गिरती है कोई चीज़ रूके पानी में
दूर तक फटती हुई काई चली जाती है।
मस्त करती है मुझे अपने लहू की खुश्बू
ज़ख़्म सब खोल के पुरवाई चली जाती है।
दर-ओ दीवार पे चेहरे से उभर आते हैं
जिस्म बनती हुई तन्हाई चली जाती है।।
|
Sunday, March 10, 2019
Nazm
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment